Thought of The Day in Hindi

Aaj ke samay mein sirf wahi imaandar hai,

Jisko beimaani ka mauka nahi milta !

---------------------------------------------------

Insaan ek dukaan hai aur jubaan uska taala !

Taala khulta hai, Tabhi maalum hota hai ki,

Dukaan Sone ki hai ya koyele ki !

---------------------------------------------------

Viyakti apne gudhon se upar uthtaa hai !

Unche isthaan par baith jaane se hi uncha nahi ho jata hai !
---------------------------------------------------

Buraayi ishliye nahi badhti kyuki bura karne wale log badh gaye hai,

Buraayi ishliy  badhti hai kyuki sahan karne wale log badh gaye hai..

---------------------------------------------------

Khoobsurat tasveer negative se tyaar hoti hai,

Aur woh bhi andhere kamre mein,

Ishliye jab bhi aapke jiwan mein andhkaar nazar aye,

Toh samajh lijiyega ki ishwar aapke,

Bhavishya ki sudar si tasveer ka nirmaan kar raha hai !

---------------------------------------------------

Ek Saal mein 50 friend banana aam baat hai,

50 saal tak ek hi friend se friendship nibhana khaas baat hai !

---------------------------------------------------

Dubta hai toh Paani ko dosh deta hai,

Girta hai toh Patther ko dosh deta hai,

Insaan bhi bada ajeeb prani hai,

Kuch kar nahi pata toh,

Kismat ko dosh deta hai !
---------------------------------------------------
Na kisi ke abhav mein jiyo,

Na kisi ke prabhav mein jiyo,

Yeh zindgi hai aapki,

Apne swabhav mein jiyo !!

---------------------------------------------------

Iski chinta chod de ki

aapne kya khoya hai,

Aur ish par dhyan kendrit kare ki,

Aap kya haseel karna chate hai !

---------------------------------------------------

Parm gyaan ko kewal karm

karke hi samjha ja sakta hai,

Bina karm ke koi gyaan sambhav nahi hai !

---------------------------------------------------

Aaj ke samay mein sirf wahi imaandar hai,

Jisko beimaani ka mauka nahi milta !

---------------------------------------------------

Sambhav ki seema janne ka kewal ek mattr tarika hai,

Asambhav se bhi nikal jana !

---------------------------------------------------

Agar yeh lagne lage ki laksye haasil nahi hoga toh,

Laksye ko nahi balki apne prayaso ko badlo !

---------------------------------------------------

Dil se dushro ki sewa karo toh duaon ka darwaja khul jayega !

---------------------------------------------------

Mehnat itni khamoshi se karo ki safalta shor macha de...

---------------------------------------------------

Taaqat ki jarurat tabhi hai,

Jab kuch buraa karna ho,

Warna....

Duniya mein sab kuch paane ke liye pyaar ki kaafi hai !!

---------------------------------------------------

1 Moh ek bandhan hai

2 kam bolna ek acchi aadat hai

3 Ghamand patan ka lakshan hai

---------------------------------------------------

Aapka khush rehna hi aapke dushmano ke liye sabse badi saja hai

---------------------------------------------------

Honsla mat haar girkar yeh musafir ,

Agar  dard yaha mila hai toh dawa bhi yahi milegi !